Wednesday, April 8, 2020

अपने सपने कैसे पूरे करे? How to accomplish dreams?

अपने सपने कैसे पूरे करे?

Sapne sab dekhte hai lekin poore kuch hi log kar paate hai. Aisa kaha jata hai ki 90% log kabhi apne sapne poora karne ke liye kabhi try hi nahi kar paate. Konsi problems hai Jo ek person ko apne sapne poore karne se rokti hai, poora article padhne ke baad ap unhe jan jayenge.

4 obstacles in your dreams

#1. Childhood beliefs
Bachpan me jab bhi ham kuch krte hai to hamare bade hame ye bolte hai ki beta tumse nahi hoga, vaha mat jana beta gir jaoge, jyda bade sapne mat dekho sapne sabke poore nahi hote aur hazaron beliefs. 
Ek mahavar ek hathi ke bacche ko chhoti si rassi se bandh kar rakhta hai aur vo bahut bar koshish karne par bhi use tod nahi pata aur vo try karna chhod deta hai, lekin ab vo hathi bada ho Chuka, usme ab itni takat hai ki vo rassi to kya deewar bhi tod sakta hai lekin vo try hi nahi kar raha kyuki bachpan me usne bahut koshish ki thi lekin vo fail ho gya tha jise vo ab tak nahi bhool paya hai.
Isee tarah ham bhi bachpan me bahut sawal karte the aur hame har bar chup kara diya jata tha, bahut sapne dekhte the lekin kuch bhi nahi karne diya jata tha to hame aaj bhi aisa lagta hai ki ham nahi kar payenge kyuki bachpan me hamne Ghar walo ke against jakar kuch kiya tha aur hame chot lag gyee thi aur Ghar walo se daant bhi bahut padi isliye ham aaj bhi khud se sawal hi nahi kar rahe ki Mera sapna Kya hai, yaad rakho aaj aap bade hathi ban chuke ho Jo poori Dewar tod sakta hai bas apko try karna hai.
Sawal karo khud se apko apna sapna mil jayega aur try karo.
#2. Main apno ke khilaf nahi ja sakta
Jab aap apna sapna pata laga loge aur try karne ka than loge to dusri problem apke apne log honge Jo ye nahi chahte ki AP vo Kam Kare. Vo apni jagah thik hai kyuki unhone kuch aisa kiya aur fail ho gye ya kisi aur ko fail hote dekha to unhe lagta hai ki sabhi is Kam ko nahi kar payenge, yadi apme vo junoon hai aur seekhne ki ichha hai to ap kar sakte ho aur rahi Ghar walo ki baat jab tak aap safal nahi hote tab tak hi vo apse door hai.
Dusra tarika ye bhi hai ki unhe aap ye Bata sako ki agar aap fail hue to bhi aap Kya karoge Kya backup apke pass hai to vo convince ho sakte hai. Ap Ms dhoni ka hi example dekh sakte ho.
#3. Fear of failure
Ab teesri problem ye hai ki agar fail hue to,
Kyuki itnee aasaani se ye sab nahi hone wala hai aur sare effort ke baad bhi hamare sapne poore honge is bat ki koi guarantee nahi. Jab itnee sari problems aane wali hai, itna pain hone wala hai aur success ki koi guarantee nahi to ham kyu try Kare jabki hamari normal life achhi chal rahi hai.
Apko try isliye karna chahiye kyuki yadi aap in sab problems ke bawjood jab safal hoge to vo Khushi aur life apki normal life se 100 guna jyda better hogi. Aur sabse important apka confidence itni problems ko crack karne ke baad, impossible ko possible banane ke baad bhut badh Chuka hoga. Jab AP phir koi dusra Kam jab karoge to aap aasaani se safal hone lagoge kyuki ab AP Jan chuke hoge ki problems ko kaise haraya jata ha. Ab aap jisbhi Kam me hath daloge vo safal hone lagega.
#4. Bas ek kadam door
Ye final step hai jab AP sare obstacles ko par kar chuke ho, bhut jyda mehnat kar chuke ho, bahut sari problems ko face kar chuke, bahut jyda thak chuke ho, apne aas pass logo ko fail hote dekh rahe ho. Yaha par aksar log chhod jate hai yahi unki sabse badi galti hoti hai kyuki itne sare efforts lagaye aur bas goal se ek kadam door aakar chhod diya,bina ye soche ki kitne logo se iske liye lade the, kitni rate iske liye jagayi thi, kitnee problems jheli thi to ab jab manjil thodi hi door hai to kyu har man rahe ho.
Jab tak apka goal achieve na ho jaye tab tak maidan chhodkar bhagna nahi hai.
Wish you all the best for your dreams.

No comments:

Post a Comment